Assalamu alaikum wa Rahmatullah.
Khilafat zimmadari ka ek bojh.
Yhi wajh he ki jb Hazrat Umar R.A shahadat se pehle zakhmi huye to logo ne kaha ki aap apne baad khalifa bnane ke liye kisi ko namuzad krde.
Or us waqt logo ne ap ke bete Hazrat Abdullah bin Umar R.A ka nam liya ki un ko khilafat ke liye namuzad farma de.
Hazrat Abdullah bin Umar R.A bahut jaleelul qadr sahabi the, unke ilm , taqwa, ikhlas kisi cheez me kisi ko koi shak nhi ho skta.
Jb logo ne Hazrat Umar R.A ke samne un ke bete ka nam liya to Hazrat Umar R.A ne pehle to ek jumla irshad farmaya ki:
Tum mere bad ese shakhs ko mujh se khalifa namuzad krana chahte ho, jis ko apni biwi ko talaq dena bhi nhi aata.
Jis ka waqiya ye he ki Hazrat Abdullah bin Umar R.A ne Huzur Aqdas S.A.W ke zamane me ek martaba apni ehliya ko esi halat me talaq de di thi.
Jb un ki ehliya hez ki halt me thi, or hez ki halat me talaq dena na jayez he.
Un ko ye masla maloom nhi tha, isi liye talaq de di, bad me Huzur S.A.W ne farmaya ki is talaq se ruju krlo.
Unho ne is talaq se ruju kr liya.
Is waqiya ki taraf Hazrat Umar R.A ne ishara farmaya ki tum mujh se ese shakhs bnwana chahte ho.
Jise apni biwi ko talaq deni bhi nhi aati, me us ko kese khalifa bna du?
Logo ne fir israr kya or kaha Hazrat! vo qissa aaya gya ho gya.
Masla maloom na hond ki wajah se unho ne esa kr liya tha.
Is waqiya ki wajh se vo khilafat ki ehliyat se to nhi nikle, balki vo uske ahal he aap un ko bna de.
Us ke jawab me jo jumla Hazrat Umar R.A ne irshad farmaya, vo yaad rkhne ke qabil he.
Farmaya ki bat asal me ye he ki khilafat ka phanda khitab ki aulad me se ek hi shakhs ke gale me par gaya to kafi he.
Ab me phanda apne khandan me se kisi or fard ke gale me ye phanda dalna nhi chahta.
Is liye ye imarat or khilafat haqiqat me zimmadari ka bahut bada bojh he.
Or aakhirat me jb Allah taala ke samne ja kr hisab kitab dun.
To agr brabr srabr bhi chot jaun to bahut ghanimat smjhunga.
Ye he ameer ka taswwur, or us ke raayi hone ka taswwur , ki usne is imarat ke haq ko kese ada kya.
Shukriya...