Haldi wale doodh peene se hote hai fayde.

in life •  6 years ago 

Bhaaiyo kaise hai aaplog asha karta hu ke aap sabhi log acche hi honge. Bhaaiyo aap ko to pata hi hoga ki doodh peene se hame kitne fayde hote hai. Doodh me vitamin-C paye jate hai jis se hamari haddiya majbut hoti hai. Lekin dosto agar hum haldi wala doodh piyenge to hame or jada fayde milenge.


Image Source

Agar hame sardi hoti hai to hume jarur se haldi wala doodh peene chahiye is se hamari sardi jald hi khatam ho jaati hai. Haldi me antiseptic or antibiotic ke gun paye jaate hai jo hamare sharir ke liye kafi fayde mand hai or doodh me to calcium kaafi matra me paayi jaati hai jo hamare sharir or dimag ke liye kaafi faydemand hai.

Agar doodh or haldi ko mila diya jaye to indono ke gun aapas me mil jayenge or iska sewan se hamare shrir ko bahut jada fayde milegi. Agar hamare sharir me chot lag jaye to haldi wala doodh peene se wah jakhm jald se jald thik ho jate hai.


Image Source

Dosto aaisa bahut logo ke sath hota hai ke unke hanth, pair ya sharir ke or bhi koi ang hamesha dard deta hai agar aap daily haldi ko doodh me milakar uska sewan karenge to us se aapki yah problem jald se jald thik ho jayegi.

Jin logo ko raat me nind nahi aati agar we log haldi wala doodh raat ke khane ke baad or sone se aadha ghanta pahle pee le to phir unhe acchi nind aayegi. 

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

thnks for sharing the benefits buddy : ) nice post

You got a 3.65% upvote from @postpromoter courtesy of @akshaykumar12257!

Want to promote your posts too? Check out the Steem Bot Tracker website for more info. If you would like to support the development of @postpromoter and the bot tracker please vote for @yabapmatt for witness!

bhai thanks for shearing this info ...@akshaykumar12257