main apke waste roj post bnane k le ata ho lekin daily 1 post hi bnane ko time milta hain kiyun k main parha likha na hone k waste kuch bi nahi kar pata ho tu mere le likhna bahot hi muskil hota hain main apny dost jo k hakeem hain us se pochta hon agar wo mil jaye tu us se ap sub k le kisi bemari ka ilaj ka btaata ho k ap ghar main reh k bemari ko kaise door kar sakte hain aur dr pass jane ki zarort hi na ho gi
aur agar hakeem na mile tu apny pass se kuch nahi likhta tu ap sub k sath khane bnane ka tareeka btata hon kiyun k mujhe khana bnana pasand hain aur main ghar main kafi bnanta rehta hon kch days phele ap sub k waste khana bnane ka tareeka hi paish kar raha hon aur kal apko namkeen gosht bnane ka btaya tha tu socha aj ap sub k waste methe main kuch btata hon mai
seviyan kaise bna sakte hain ?
seviyan jaise k jante hain bahot hi maze ki hoti hain aur methi dish main ati hain aur seviyan bnane k bi kafi tareeka hain kuch log dudh wali pasand karte hain tu kuch zarde wali tu main apko dudh wali seviyan bnane ka tareeka btao ga jo k log bahot hi shoq se khate hain
1 . dudh seviyan ki maqdar k mutabik
seviyan 1 packet ho tu dudh 1 kilo hone chaye
badam , pista hasbe zaiyda
chenni apki pasand k mutabik
khoiyaa 1 pao
ghee 1 se 2 cup
kish mish jitna ap ko pasand hho oper dalne k le
inko bnane ka tareeka .
sub se phele kisi bartan main dudh , cheeni daal kar garm hone deyn
jub obal aye tu is main zard rang dall leyn aur itni dair tak pakne deyn jub tak ache se cheeni hal na ho jaye
phr aik ilehda bartan main gheee daal kar us main seviyan daal deyn aur thori dair bhooon leyn
ab isko dudh main daaal kar thori dair teeez anch pe pakne k le rakh deyn
jub dudh thora khushk ho jaye tu is main badam pista wagira daal kar mint k le halki anch pe pakne deyn jub ache se pak jae tu kisi dish main daal kar is k oper kish mish wagira daal leyn aur kha leyn
photo source : https://www.geniuskitchen.com/recipe/seviyaan-vermicelli-milk-pudding-328690
You got a 76.36% upvote from @minnowvotes courtesy of @urdublog!
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit
Defended (42.55%)
Summoned by @urdublog
Sneaky Ninja supports @youarehope and @tarc with a percentage of all bids.
Everything You Need To Know About Sneaky Ninja
woosh
Downvoting a post can decrease pending rewards and make it less visible. Common reasons:
Submit