Asslamu alaikum wa Rahmatullah.
Hazrat Aaisha R.A ki zihanat or hazir jawabi.
Hazrat Aaisha R.A bachpan se hi be had zaheen or hazir jawab waqay huyi thi.
Ek martaba ka waqya he ki Hazrat Aaisha R.A apni shaeliyon ke sath ghar me gudiyon se khel rhi thi.
Hazrat Mohammad S.A.W Hazrat Abu Bakar R.A ke ghar me dakhil huye puchha Aaisha ye kya he?
Arz kya: ki "ye ghoda he"
Nabi Kareem S.A.W ne farmaya: Aaisha! ghoro ke par nhi hote.
Hazrat Aaisha R.A ne barsakhta jawab diya:
" kyu ya Rasool Allah! Hazrat Sulaiman A.S ke ghoron ke to par the"
Nabi S.A.W ne ye sun kr tabassum farmaya or Hazrat Aaisha R.A ki hazir jawabi ki sataish farmayi.
Hazrat Aaisha R.A ki zihanat ka andaza is waqye se bhi lgaya ja skta he ki ek bar Hazrat Aaisha R.A Hazrat Fatima R.A ghar me bethi thi ki un kr aaps me behes shuru hogyi.
Hazrat Fatima ne farmaya ki me maqam o martaba me aap se buland hu kyunki me Allah ke nabi ki beti hu, jb ki sahabi ki beti he.
Hazrat Aaisha R.A ne suna to farmaya ki beti Fatima is me shak nhi ki Aap imam ul ambiya ki lakht e jigr or noor e nazar he.
Jbki me us bap ki beti hu jo aap ke walid ke khadim or gulam he.
Me ne aap ke walid se ye masla suna he ki qayamat ke din paak biwiyan paak shohron ke hmrah jannat me dakhil hongi.
Lekin tumhare or mere jannat me dakhil hone ka farq wazeh hoga.
Tum jannat me jaogi to tumhare hath me Ali R.A ka hath hoga, me jannat me jaungi mere hath me nabi S A.W ka hath hoga.
Shukriya..