shiv puran [satrudrasahita]

in mythology •  7 years ago  (edited)

hqdefault.jpg

bhagwan shiv ka yatinath avm hans naamak avtar ----
nandiswer kahte hai - mune ! mai aapse parmatama shiv ke yati naamak avtar ka varnan karta hu 1 arbudachal naamk parvat ke samip aahuk naamka bheel rahta tah uski patni ko log aahuka kahte the dono pati patni shiv bhakt the,shiv puja mai lage rahte the.ak din bheel apni patni ke liye aahr ki khoj mai jangal mai dur chla gaya ishi samya bhagwan sankar madhyakal mai bheel ki priksha lene ke liye sanyasi ka vesh dhran kar uske ghar aaye usi samya bheel bhi ghar aa gaya our usne bade prem se yatiraj ka pujan kiya uske manobhav ki pariksha ke liye un yateswer ne deen vani me kaha - bheel ! aaj rat mujhe yaha rahne ki liya stahan de do subh hote hi chla jauga tumhara kalyan ho.
ddecd72646a93a0d947b4a1fcb0da0a4.jpg

bheel bola - swami ji ! aap yheek kahte hai tathapi meri baat suniye mere ghar me sthan to bahut thoda hai fir usme aapka rahna kese ho sakta hai, bheel ki yah baat sun swami ji bahar jaane ko uddhat huye, tabhi bhilni ne kaha - prannath ! aap swami ji ko sthan de dijiye, ghar aaye atithi ko nirash na lootaiye anyatha hamare grihasth dhram me badha pahucegi, aap swami ji ke sath ghar ke bhitar sukhpurvak rahiye mai sastr lekar bahar khadi rahugi, patni ki baat sun bheel ne socha - stree ko bahar nikalkar mai bhitar kese raha sakta hu? sanyasi ji ka anyatr jana bhi mere liye adhramkarak hoga, ye dono hi kaam ak grihasth ke liye anuchit hai atha mujhe hi ghar ke bahar rahna chahiye jo honhar hogi hokar hi rahegi, asha soch usne stree ko sanyasi ke sath ghar ke bhitar rakh diya our swyam bahar sastr lekr bahar khada ho gaya, raat me jangli krur pasu use peeda dene lage, usne yatha sakti bachne ka pryatn kiya fir bhi hinsak pasuo dwara kha liya gaya, pratha jab yati ne dekha ki hinsak pasuo ne vanvasi ko kha dala hai to dukhi hua, sanyasi ko dukhi dekh bhilni dukh se vyakul hone par bhi dukh dabakar boli swami ji aap dikhi kyo ho ? bheelraj ka to is samya to kalyan hi hua hai ve to dhnya kritrath ho gaye li unhe ashi mrtyu prapt hui, mai chita ki aag me jalkar inka anusran karugi, aap prasananta purvak mere liya ak chita teyar kae de, kyo ki swami ka anusran karna stri ka dhram hai, uski baat sun swami ji ne swyam chita teyar ki bhilni ne usme praves kiya esi samya bhagwan sankar sakhsat uske samne prakat ho gaye our uski prasnsa karte huye bole - tum dhnya ho mai tum par pasanan hu var maago tumhare liye mujhe kuch bhi adyeya nahi hai.
bhagwan ke yaha vachan sun bhilni ko bada sukh mila our ashi vibhor ho gaye ki ushe kuch sudh na rahi uski is avastha ko dekh bhagwan sankar prasanan huye pur uske kuch na magne par bhi use var dete huye bole - mera jo yati rup hai bhvi janm mai hans roop me prket hoga our prasnanta purvak tum dono ka snyog krayega, yaha bheel nisadaadesh ki uttam rajdhni mai rajaveersen ka putr hoga us samya nal naam se iski khyati hogi tum vedrabha me bheemraj ki putri damyanti hogi tum dono milkar rajbhog bhogne ke paschat moksha ko prapat kroge. jo bade bade yogiyo ke liye bhi durlabha hai. asha kahakar bhgwan shiv ling roop mai sthit ho gaye, vaha bheel apne dhram se vechlit nahi hua isliye us ling ko achlesha ki sangya di gaye dusre janam mai aahuk naamk bheel veersen ka putr ho nal naam se vekhyat hua,aahuka vidrabha raja ki putri damyanti hui our yatinath shiv hans roop mai prkat huye unhone nal damyanti ka vivah kraya hansvtardhri shiv bhati bhati ki baate karne our sandesh phuchne mai kusal the ve ne nal our damyanti dono ke liye parmanand dayak huye.

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

I gave you an upvote on your post! Please give me a follow and I will give you a follow in return and possible future votes!