shrimad bhagwat ke pehle adhyay ka mahatva

in mythology •  6 years ago  (edited)

images (2).jpg

parvati ji ne kaha mai geeta ka mahatam sunana chahti hu jiska srvan karne se sri hari me bhkti badhti hai.
mahadev Ji kahte hai - grun jinka vahan hai shyam, seshnaag ki saiya par sayan karnewale visnu ki ham upasna karte hai.
ak samya laxmi ji ne visnu ji se prsna kiya - bhgwan ! aap jagat ka paln karte huye aap apne ashwerya ke prti udasin hokar jo is kheer sagar me need le rahe hai, iska kya karan hai.
bhgwan bole - sumukhi ! mai need nahi leta hu apitu antrdrsti ke karan apne hi maheswer tej ka sakshatkar kr raha hu vah tej,ajar, amar, aatmroop, rog shok se rahit, prakashswroop, aanand ka punjdvetrahit hai sara visv usi ke adhin hai mai usi ka anubhv karta hu. sri laxmi ne kaha - aap yogi puruso ke dhyey hai aape atirikt bhi koi dhyan karne yogya tatv hai yah jankar mujhe bada kotuhal ho raha hai, is jagat ki sristi sanhar krne wale aap sarv samrth hai is prkar ki sthiti me hokr bhi aap us parm tatv se bhinna hai to mujhe uska bodh kraeye.
sri bhgwan bole - priye ! aatma ka swroop dvet advet se prthak, bhav abhav se mukat, aadi ant se rahit hai gyan ke prkash se uplbadh hone wala tatha prmanand swroop hone ke karan akmatr sundar hai,yahi mera ishweriya swaroop hai.geeta me ishi ka pratipadan hua hai, bhgwan vishnu ke ye vachan sun laxmi ji ne kaha -aapka swroop parmanndmya hai man our vani ki phuch se bahr hai to geeta uska bodh kese krati hai,
bhgwan bole - sundri ! suno, geeta me mai apni sthiti ka varnan karta hu, krmsha panch adhyayo ko tum panch mukh jano das adhyayo ko das bhujaye, tatha ak adhyaya ko udar, our do adhyayo ko do chran kamal. is prakar atharh adhyayo ishwerye murti samjhna chahiye. jo purush geta ke aadhe slok ka bhi abhyas karta hai vah susrma ke saman mukat ho jata hai, laxmi ji ne pucha - susrma kon tha, kis karan se uski mukti hui.
bhgwan bole - susrma papiyo ka siromani khoti budhi ka brahman kul me utpnna krur gyan sunyavyasan karne wala mudhabudhi tha. ak din patte lene ke liye kisi risi ki vatika me ghum raha tha tabhi saap ke dasne se uski mrtyu ho gayi vah anek narko me yatnaye bhog mrtyulok me bail hua, kisi pangu ne apna jivan aaram se vyatit karne ke liye use khrid liya bail ne pangu ka bhar apne peeth par dhote huye aath varas betaye ak did pangu ne bail teji se ghumaya vo vehosh hokar bhumi par gir pada to kisi punyatma ne bail ka kalyan karne ke liye apna punya dan kiyadusre logo ne bhi apna punya yad kar uske liye daan kiya usme ak vesya bhi thi usne bhi daan kiya, yam ke dut use yampuri me le gaye vaha vesya ke diye huye punya se vah punyavaan ho gaya use chod diya gaya, fir vah bhulok me aakr brahman ke ghar utpnna hua use apni purv janam ki bbte smran rahi, bhut dino baad apne agyan ko dur karne ko vesya ke paas gaya our usko daan ki baat btate huye pucha ki tumne kon sa punya daan kiya tha ? veshya ne uttr deya - pinjre me betha tota prtidin kuch padhta hai, usse mera anthakarn pvitra ho gaya, usi ka punya maine tumhare liye daan diya tha. fir uske baad dono ne tote se pucha tab us tote ne apne purv janam ka smran kar itihash kahna aarambh kiya.

suk bola - mai purv janam me vidwan hokr bhi abhiman me rahta thamera raag dwesh itna badh gaya tha ki mai gunwan vidwano ke prti bhi irshya bhav rakhne laga tha fir samyanusar mari martyu ho gayi mai anek ghrnit loko me bhatkata raha uske baad is lok me aaya satguru ki ninda ke karan tote ke kul me mera janam hua papi hone ke karan choti awastha me hi mata pita se mera viyog ho gaya, ak din grisam ritu me marg me pada tha vaha se sresth muni mujhe utha ke gaye unhone mujhe pinjre me daal diya, vahi mujhe padhaya gayarisiyo ke balk geeta ka path karte unhi se sunkar me bhi bar bar path karne laga, ishi beech ak bheliye ne mujhe chura liya usse es devi ne mujhe khrid liya yahi mera vritannt hai,purvkal me maine is prtham adhyay ka abhyas kiya tha jisese maine apne pap ko dur kiya hai, usi se is veshya ka anthakran suddha hua hai, usi ke punya se susrma bhi mukat huye.

adhyaye ki mahtam ki prasansa karte huye teeno nirantar apne apne ghar geeta ka abhyas karne lage fir gyan prapat kar ve mukat ho gaye isliye jo geeta prtham adhyay ko padhta hai sunta tatha abhyash karta hai use bhavsagar ko paar karne me koi kathnai nahi hoti. continue........
images (1).jpg

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!
Sort Order:  

Nice job