SHIV PURAN [RUDRA SAHITA] EMERGE OF SHIV,SHIVA AND KASHI [VARANASI]

in om •  7 years ago 

MAHAPRLYAKAL ME KEVAL SADABRAHMA KI SATTA KA PRTIPADANUS NIRGUN - NIRAKAR BRAHMA KE ISHWAR MURTI SADASHIV KA PRAKATYA,SADASHIV DWARA SWARUPBHUTA SHAKTI [AMBIKA] KA PRAKTIKARAN,UN DONO KE DWARA UTTAM KSHETRA [KASHI YA ANANDAVAN]KA PRADURBHAV, SHIV KE VAMANG SE PARAMPURUSHA [VISHNU] KA AVIRBHAV TATHA USKE SAKASHA SE PRAKTR TATVO KI KRAMSHAH UTAPTTI KA VARANA--- महाप्रलय काल में केवल सदा ब्रह्म की सत्ता का प्रतिपादन

download (1).jpg
brahma ji ne kaha - brahman ! davshiromani ! tum sada samast jagat ke upkar me hi lage rahate ho tumne logo ke hit ki kamana se bahut uttam baat puchi hai jiske sunane se samast papo ka kshye ho jata hai us annmye shiv ka me tumse varanan karta hu. shiv tatva ka swarup bada hi utrkirst our adbutha hai jis samya samasta chrachr jagat nasta ho gaya tha, sarvatr kavel andhkar hi andhkar tha na surya dikhai dete the na chandrma anyanye graho kabhi pata bhi nahi tha na din hota tha na rat; agni, prthvi, vayou our jal ki to satta bhi nahi thi pradhan tatva [avyakrit prakti]se rahit suna aaksha matra sesha tha,dusre kisi tej ki uplabadhi nahi hoti thi adrisht aadi ka bhi astitva nahi tha sabad our sparsh bhi sath chod chuke the gandh our rup ki bhi abhivayakti nahi hoti thi ras ka bhi abhav ho gaya tha deshao ka bhi man nahi hota tha is prakar sab or niranter suchibhed ghor andhkar faila hua tha, us samya tatsadbrham is sruti me jo sat suna jata hai, vahi akmatar sesha tha, jab 'yaha' ' vaha' 'esha' 'jo' etyadi rup se nirdirst honewala bhavabhavatamak jagat nahi tha, us samya ak matra vaha sat hi sesha tha, jishe yogijan apne hardyaaksha ke bhitar niranter dekhte hai, vaha sattva man ka vishya nahi hai,vani ki bhi vaha tak kabhi pahuch nahi hoti,vaha naam tatha rang - roop se bhi sunya hai vaha na sthul hai na krish, na harsva hai na dirgha tatha na laghu hai na guru, usme na kabhi vrdhi hoti hai na harash shruti bhi uske vishya mechkitbhab se 'hai' itna hi kahti hai, arthat uski satta matra ka hi nirupan kar pati hai, uska koi vesesha vivaran dedne me asmartha ho jati hai,vaha satya gayanswarup, anant, parmanandmay, paramjyotiswarup,aprmeye, aadharrahit, nirvikar, nirgun, yogigamya, sarvavyapi, sabka ak matra karan, nirvikalp, nirarambha, mayashunya, updravrahit, adwitiya, anadi, anant, sankoch vikash se sunya tatha chnmya hai.

download (2).jpg
jis param brahma ke vishya me gyan se our agyan se puran uktyo dwara is prakar vikalp kiye jate hai; uske kuch kal k bad [ sristi ka samya aane par dwitiya ki iksha praket ki - uske bhiter ak se anek hone ka sankalp udit hua, tab us nirkar parmatama ne apni lila shakti se apne liye murti aakar ki kalpna ki vaha murti sampurn ashwerya - guno se sampanna, sarvagayanmaye, subhaswarupa,sarvvyapini, sarvrupa, sarvdarshni, sarvkarni, sabki akmatra vandaniya,sarvdhaya, sabkuch denewali,our sampurn sanskrityo ka kendr thi, us sudharupni ishwer - murti ki kalpna karke vaha awditiya, anadi, anant, sarvapraksh, chinmya,sravvyapi our avinashi prambrahma antrahit ho gaya jo murtirahit pram brahma hai, uski murti [chnmye aakar] bhagwan sadashiv hai, us samya akaki rahkar swachanusar vihar karne wale us sadashiv ne apne vigrha se svyam hi ak swarupbhuta shakti ki sristi ki jo unke shrianga se kabhi alag honewali nahi thi us parashkti ko prdhan,prakti, gunvati, maya, budhitatva ki janani,tatha vikarrahit bataya gaya hai, vaha shakti ambika kahi gaye hai, usi ko prakti, srveswery, tridev janani,nitya our mul karan bhi kahte hai,sadashiv dwara prket ki gaye us shakti aath bhujaye hai. us subha lakshna davi ki mukha ki shobha vichitra hai vaha akeli hi apne mukhamandla me sada ak sahstra chandrmao ke kanti dharan karti hai, nana prakar keaabhusan uske ango ki shobha badhate hai, vaha davi nana prakar ki gatyo se sampanna hai, vaha aneka prakar ke astra sastra dharan karti hai, uske khule hue netra khile hue kamal ke saman jaan padte hai, vaha achintya tej se jagmagati hai vaha sabki yoni hai our sada udhamshil rahti hai, akakini hone par bhi vaha maya sayogvas anek ho jati hai.

jo sadashiv hai unhe parampurush,iswer, shiv, sambhu, our meheshawer kahte hai, ve apne mastak par aakash ganga ko dharan karte hai,unke bhaldesh me chandrma shobha pate hai, unke panch mukh hai prtyek muha me teen - teen netra hai unka chitt sada prasnna rahta hai ve des bhujao se youket our trishuldhari hai, unke shri ango ki prabha karpur ke saman goor varn hai ve apne sare ango mai bhsam ramaye rahte hai. un kaal rupi brahm ne ak hi samya shakti ke nath 'shivlok' namak kshatra ka nirman kiya tha. ua uttam kshetra ko hi kashi kahte hai, vaha param nirvan ya moksha ka sthan hai, jo sabse uper virajmaan hi,ve prya - pryatam rupi shakti our shiv jo parmanand swarup hai us manoram kshetra me nitya nivas karte hai, kashipuri parmanand swarupni hai, mune ! shiv our shiva ne prlyakal me bhi kabhi us kshetra ko apne sanidhya se mukta nahi kiya hai esliye use avimuket kshetra naam se bhi jante hai yaha kshetra aanand ka hetu hai esliye pinakdhari shiv ne pahle uska naam aananadvan rakha tha .
download.jpg
ak samya aanandvan me raman karte huye shiva our shiv ke man me yaha eksha hui ki kisi dusre purush ki bhi sristi karni chahiye, jis par sristi sanchalan ka mahan bhar rakhkar hamdono keval kashi me rahkar ekshanusar vichre our nirvan dharan kare,vahi purush hamari anugrah se sabki sristi kare, palan kare, our vahi anta me sabka sanhar kare . yaha chitt ak samudra ke saman hai esme chinta ki uttal tarange utha utha kar eshe chanchal banaye rahate hai esme satvagunrupi ratn,tmogunrupi grah, our rajogunrupi munge bhre hue hai es vishal samundr ko sankuchit karke ham dono us purush ke prasad se aanand- kanan kashi mai sukhpurvak nivas kare. yaha aanandvan vaha sthan hai jaha hamri manovrtti sab orse simitkar esi me lagi hui hai tatha jiske vahar ka jagat chinta se aatur pratit hota hai,asha nischya karke shkti sahit prameshwer shiv ne apne vaam bhag ke dasve anga par armat mal liya fir vaha se ak purush prakat hua, jo teeno loko me sabse sunser tha, vaha shant tha usme satvagun ki adhikta thi tatha vaha gambheerta ka athah sagar tha. mune ! kshma namak gun se youket us purusha ke liye dhudne par bhi koi upma nahi milite thi uski kanti neelmani ke saman shyama thi uske anga - anga me divya shobha chitak rahi thi our netra kamal ke saman shobha pa rahe the shri ango par sundar reshmi pitamaber shobha de raha thakisi se na prajit hone wala purush apne prachadd bhujdando se sushobhit ho raha tha,tadanter us purush ne shiv ko pranam karke kaha - swamin mera naam nischit kejeye our kaam bataiye, us purush ki baat sunkar bhgwan shankr haste huye bole---vatsa vyapak hone ke karan tumahara vishnu naam vikhyat hua iske shiva our bhi bahut se naam hoge jo bhakto ko sukh dene wale prya hoge. tum susthir uttam tap karo; kyo ki vahi samast karyo ka sadhan hai,
asha kahkar bhagwan shiv ne vishnu ko swash marg se vado ka gyan pradan kiya,eske bad apni mahima se kabhi chut na hone wale shrihari bhagwan shiv ko prnam karkr bhri tapsya karne lage our shakti sahit bhagwan shiv bhi parsad gano ke sath vaha se antradhyan ho gaye. bhgawan vishnu ne dherghkal tak ghor tapsya ki tapyya ke prishram se bhagwan vishnu ke ango se nana prkar se jaldhraye bahne lagi yaha sab bhagwan shiv ki maya se sambhv hua, mahamune ! us jaldhara se sara suna aakash vyapat ho gaya vaha brahma rup jal apne sprsha matra se sab papo ko nash karne wala sidha hua,us samya us thke huye pram purush vishnu ne svyam us jal me sayan kiya.ve dhrghkal tak badi prasnanta ke sath us jal me rahe 'naar' yani jal me bahout dino rahne ke karan narayan naam pada, us samya un narayan ke siva koi dusri vastu nahi thi uske bad un mahatama se sabhi tatva prket huye.
images (9).jpgchobish ko grahan kar ve param purush narayan bhagwan shiv kieksha se brhampur jal me so gaye.

Authors get paid when people like you upvote their post.
If you enjoyed what you read here, create your account today and start earning FREE STEEM!